I posted this on facebook in March, 2011
Pyar ki itcha har naujavan dil rakhta hai
Pyar ki kahani vo nahi
Jo bin kiye, nadan shayar likhta hai.
Kabhi khud ko badnam karta hai
Kabhi premi ko iljaam deta hai.
Pyar vo shai hai, jiski bina pe
Hum har sans lete hain
Vo ankahi dastaan, jiske sahare
Jindagi ki kari chalti hai.
3. Vo preetam jise bhule baithe hain hum
par jisne hamein ik pal bhi bhulaya nahi.
Har ghari vo andar baitha, bas intzaar karta hai
Ik din hum ardaas mai lein dein chhorenge
Shikve shikayaton se door hokar, sirf uska sath mangenge
yahi intzaar karta hai
4. Vo pyar ka saagar jisne is jahan mei
Kai rang bhare, tumhe rijhane ke liye
Kabhi us preetam ke pas baith kar, uski dastaan bhi sunn
Kabhi aakash ko dekh, is hava ki baat sunn
Bolta hai vo in saager ki lehron mei
Kholta hai apna dwar tere liye subha shyam,
Pukaar usai kabhi in pehro mei
5. Vo jo dhoondte ho tum, abhi tumhe pata hi nahi
Vo duniyavi pyar nahi, jo bhar de tumhara khalipan
6. Janoge kisi din, duniyavi khushiyan pane ke baad
Milti nahi khushi, duniya ki har shai pane ke baad
Jo milti hai, ik pal duniya bhulane mei.
Ankhe moond, apne aap mei kho jane mei.
7. Ik sannate mei, ik dharkan sunoge tum
Kutch rangon ki hogi varsha
Aakash se jaise utregi ganga
bin pani barsaat mei gad gad ho jaoge tum
Aur aisi kitni hi pyar ki nishaniya
Shri Guru Granth Sahib mei paoge tum
8. Us sache pyar ko pahchano
Jisme anant sukh hai, sajaa nahi
Pyar atma ka parmatma se milap hai
Jug-hasai ke liye, tamasha nahi
Pyar chupi hai, har roz ki shikayat nahi
9. Gum ahankaar ki nishani hai
Gum ke geet gaya na karo
Pyar anant khusi hai,milegi tumhe
Tum uska HUKUM sar ankho pe bajaya to karo
10. Pyar ik dava nahi, pyar mit jana hai
Pyar mei shikayat nahi, harne mei hi jeet jana hai
11. Vo andekha, unsuna; dekhta hai, bolta bhi hai
Uska bolna juban se nahi,dil ke dwar se hai
Uska dekhna dikhana, to ankhen moond ke hai
Uske pyar ki gaharai, kisi aur pyar se toli nahi jati
Uski daastan jo sun leta hai, vo fir bulai nahi jati
Pyar mei karon aur, tumhe uska maja bataun
Is tarha mohabat ki kadar pai nahi jati
12. Kabhi tum bhi is desh ki sair kar jao
Kabhi duniya se nazar hatao, pretam se dil lagao
Nahi maloom is raste pe kaise chalna hai?
Jaan jaoge, Kabhi Nanak aur Kabeer ki sharan mei aao.
No comments:
Post a Comment