I posted this in my facebook notes in Feb, 2011
Is se sasta sauda aur kya hoga
Tu ik saans khuda ke naam karde
Khuda apni khudai tere naam kar dega
Kya dar dar pe haath failata hai murakh
Kar koi baat chup baithe apne aap se
Tera antar tujhe manjoori de de
To koi khwab nahi, Jo tu poora na kar sake
Tu to aadhe Kwab bun ke
Khud hi udher deta hai
Kidhar Jana chahta hai, tujhko pata nahi
Tu kis bina par dosh usse deta hai
Dene wala to Jo mango vahi deta hai.
Jo kahte hain Kabir, apni Sanson se jur
Jan Gaye thae Kabir, aati jati sanson ke beech
Kahin parmatma chupa hai.
Kabir Jo kah gaye Ram hai 'Haath pai nere'
Is mai mysticism ka sabse bara raaj chupa hai
Nanak ne kaha 'aatam cheen' aur 'shabad bhed'
Iske baad batane ko kuch bhi na raha hai
Apni ik saans mei sama ja
Zamana tujh mei sama jayega
Bahar chor apne antar mei aa ja
Tera antar tujhe behisaab raaj batayega
Ik 'shabad ki dhun se, apne antar ko cheer
Ekaaghrta mei, Anhat 'shabad sunai dega
Is dwaar tak pahunch, Kabhi vapas na jayega
Thursday, July 14, 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment